ghar mein mehman koi aaj bula kar dekhun
ghar meñ mehmān koī aaj bulā kar dekhūñ
dar-o-dīvār ko ā.īna banā kar dekhūñ
be-hisī dard ke bistar pe taḌaptī rah jaa.e
kab se ḳhvābīda huuñ maiñ ḳhud ko jagā kar dekhūñ
chain lene de agar shorish-e-anfās mujhe
ḳhud ko āvāz duuñ us ko bhī bulā kar dekhūñ
kaun sā chehra mire kaam yahāñ aa.egā
muntaḳhab kar luuñ to ik chehra lagā kar dekhūñ
shiddat-e-garmī-e-ehsās kī paimā.ish kyā
koī paikar ho to maiñ haath lagā kar dekhūñ
ghar mein mehman koi aaj bula kar dekhun
dar-o-diwar ko aaina bana kar dekhun
be-hisi dard ke bistar pe taDapti rah jae
kab se KHwabida hun main KHud ko jaga kar dekhun
chain lene de agar shorish-e-anfas mujhe
KHud ko aawaz dun us ko bhi bula kar dekhun
kaun sa chehra mere kaam yahan aaega
muntaKHab kar lun to ek chehra laga kar dekhun
shiddat-e-garmi-e-ehsas ki paimaish kya
koi paikar ho to main hath laga kar dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.