ghar mein nazar aati nahin gham-KHwar ki surat
ghar meñ nazar aatī nahīñ ġham-ḳhvār kī sūrat
takte haiñ paḌe ham dar-o-dīvār kī sūrat
chhuptī hī nahīñ ishq ke bīmār kī sūrat
kuchh aur hī hotī hai is āzād kī sūrat
va.ade pe banā.ī to hai iqrār kī sūrat
āñkhoñ se ayaañ hai magar inkār kī sūrat
jab vasl meñ kuchh hotī hai takrār kī sūrat
dil biich meñ aa jaatā hai dīvār kī sūrat
karte haiñ kuchh is shaan se vo vasl kā va.ada
iqrār kī sūrat hai na inkār kī sūrat
kī diid kī ḳhvāhish to vo muñh pher ke bole
dekhe to koī tālib-e-dīdār kī sūrat
'mahmūd' karam dekh ke zāhid ne sar-e-hashr
ye chāhā ki ban jā.ūñ gunahgār kī sūrat
ghar mein nazar aati nahin gham-KHwar ki surat
takte hain paDe hum dar-o-diwar ki surat
chhupti hi nahin ishq ke bimar ki surat
kuchh aur hi hoti hai is aazad ki surat
wade pe banai to hai iqrar ki surat
aankhon se ayan hai magar inkar ki surat
jab wasl mein kuchh hoti hai takrar ki surat
dil bich mein aa jata hai diwar ki surat
karte hain kuchh is shan se wo wasl ka wada
iqrar ki surat hai na inkar ki surat
ki did ki KHwahish to wo munh pher ke bole
dekhe to koi talib-e-didar ki surat
'mahmud' karam dekh ke zahid ne sar-e-hashr
ye chaha ki ban jaun gunahgar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.