ghar mein tere paigham ko tarsen
ghar meñ tire paiġhām ko tarseñ
bāhar jalva-e-bām ko tarseñ
tum sūraj aur chāñd se khelo
ham ki charāġh-e-shām ko tarseñ
tum ki shikast-e-jām ke aadī
ham ki shikasta jaam ko tarseñ
aur abhī kuchh raat hai baaqī
aur abhī ārām ko tarseñ
aaj hazāroñ kaam haiñ baaqī
phir bhī hazāroñ kaam ko tarseñ
āzādī ke ūñche sūraj
galiyāñ tere naam ko tarseñ
ghar mein tere paigham ko tarsen
bahar jalwa-e-baam ko tarsen
tum suraj aur chand se khelo
hum ki charagh-e-sham ko tarsen
tum ki shikast-e-jam ke aadi
hum ki shikasta jam ko tarsen
aur abhi kuchh raat hai baqi
aur abhi aaram ko tarsen
aaj hazaron kaam hain baqi
phir bhi hazaron kaam ko tarsen
aazadi ke unche suraj
galiyan tere nam ko tarsen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.