ghar mera tha aur is mein basar tumne kiya hai
ghar merā thā aur is meñ basar tum ne kiyā hai
āñgan ko mere rāhguzar tum ne kiyā hai
zarroñ ko mere shams-o-qamar tum ne kiyā hai
āfāq ko tā-hadd-e-nazar tum ne kiyā hai
ab is kī ghanī chhāñv hī sarmāya-e-jāñ hai
ehsās ke paude ko shajar tum ne kiyā hai
dīvār pe ik jaltā diyā rakkhā thā maiñ ne
ruḳh saarī havāoñ kā idhar tum ne kiyā hai
har lamha mujhe miltī hai sāñsoñ se gavāhī
mere liye ḳhushbū kā safar tum ne kiyā hai
ghar mera tha aur is mein basar tum ne kiya hai
aangan ko mere rahguzar tum ne kiya hai
zarron ko mere shams-o-qamar tum ne kiya hai
aafaq ko ta-hadd-e-nazar tum ne kiya hai
ab is ki ghani chhanw hi sarmaya-e-jaan hai
ehsas ke paude ko shajar tum ne kiya hai
diwar pe ek jalta diya rakkha tha main ne
ruKH sari hawaon ka idhar tum ne kiya hai
har lamha mujhe milti hai sanson se gawahi
mere liye KHushbu ka safar tum ne kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.