ghar mere aate aate wo dilbar palaT gaya
ghar mere aate aate wo dilbar palaT gaya
Abdul Majeed Khwaja Shaida
MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida
ghar mere aate aate vo dilbar palaT gayā
vo kyā palaT gayā ki muqaddar palaT gayā
hangām-e-qatl dekhne paa.e na shakl ham
talvār maar kar vo sitamgar palaT gayā
mujh se faqīr ko na diyā chain ishq ne
takiya ulaT gayā kabhī bistar palaT gayā
ai yaar dekh kar tirī qāmat kī rāstī
gulzār meñ har ek sanobar palaT gayā
nārāz ho ke phir jo ga.e tum shab-e-visāl
merā nasīb ai mah-e-anvar palaT gayā
āñkheñ phirā ke tum ne dikhāyā jo ḳhāl-o-ḳhad
barham kachahrī ho ga.ī daftar palaT gayā
kyā sar-nigūñ zamāna huā mere sāmne
sar par har ek shaah ke afsar palaT gayā
ghar mere aate aate wo dilbar palaT gaya
wo kya palaT gaya ki muqaddar palaT gaya
hangam-e-qatl dekhne pae na shakl hum
talwar mar kar wo sitamgar palaT gaya
mujh se faqir ko na diya chain ishq ne
takiya ulaT gaya kabhi bistar palaT gaya
ai yar dekh kar teri qamat ki rasti
gulzar mein har ek sanobar palaT gaya
naraaz ho ke phir jo gae tum shab-e-visal
mera nasib ai mah-e-anwar palaT gaya
aankhen phira ke tum ne dikhaya jo KHal-o-KHad
barham kachahri ho gai daftar palaT gaya
kya sar-nigun zamana hua mere samne
sar par har ek shah ke afsar palaT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.