ghar sajaen to kya tamasha ho
ghar sajā.eñ to kyā tamāshā ho
aur jalā.eñ to kyā tamāshā ho
ham raqīboñ ke sāmne khul kar
muskurā.eñ to kyā tamāshā ho
baat jo aaj tak chhupā.ī thī
ab batā.eñ to kyā tamāshā ho
un ke ik ik sitam pe ham un ko
ḳhuuñ rulā.eñ to kyā tamāshā ho
shaiḳh-o-zāhid kabhī rañge hāthoñ
haath aa.eñ to kyā tamāshā ho
ham bulā kar unheñ sar-e-manzil
lauT jaa.eñ to kyā tamāshā ho
ghar sajaen to kya tamasha ho
aur jalaen to kya tamasha ho
hum raqibon ke samne khul kar
muskuraen to kya tamasha ho
baat jo aaj tak chhupai thi
ab bataen to kya tamasha ho
un ke ek ek sitam pe hum un ko
KHun rulaen to kya tamasha ho
shaiKH-o-zahid kabhi range hathon
hath aaen to kya tamasha ho
hum bula kar unhen sar-e-manzil
lauT jaen to kya tamasha ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.