ghar se bahar thi na ghar baiThi rahi
ghar se bāhar thī na ghar baiThī rahī
soch kī dahlīz par baiThī rahī
ye mohabbat thī ki barqī taar par
koī chiḌiyā raat bhar baiThī rahī
merā sūraj hī nahīñ aayā idhar
maiñ sitāre oḌh kar baiThī rahī
jaane kis kī aas meñ ik fāḳhta
sahn kī dīvār par baiThī rahī
uTh ga.e ik ek kar ke saare log
ujḌī mahfil meñ 'qamar' baiThī rahī
ghar se bahar thi na ghar baiThi rahi
soch ki dahliz par baiThi rahi
ye mohabbat thi ki barqi tar par
koi chiDiya raat bhar baiThi rahi
mera suraj hi nahin aaya idhar
main sitare oDh kar baiThi rahi
jaane kis ki aas mein ek faKHta
sahn ki diwar par baiThi rahi
uTh gae ek ek kar ke sare log
ujDi mahfil mein 'qamar' baiThi rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.