ghar se be-parda pari-ru jo nikal jate hain
ghar se be-parda parī-rū jo nikal jaate haiñ
dekhne vāloñ ke īmān badal jaate haiñ
āsmāñ kartā hai jo chashm-e-ināyat apnī
rañg patjhaḌ ke bahāroñ meñ badal jaate haiñ
apnī nazroñ se jo girte haiñ sambhalte hī nahīñ
Thokareñ khā ke to raste meñ sambhal jaate haiñ
amn kī shāḳh pe baiThe hue panchhī saare
shar-pasandoñ kī sharārat se dahal jaate haiñ
zahr bhar detā hai lahje meñ sulagtā mausam
guftugū karne ke andāz badal jaate haiñ
gher letā hai hameñ abr tirī yādoñ kā
ham charāġhoñ kī tarah shaam se jal jaate haiñ
hasrateñ ḳhaak jo ho jaatī haiñ ai 'shād' yahāñ
peT kī aag meñ īmān bhī jal jaate haiñ
ghar se be-parda pari-ru jo nikal jate hain
dekhne walon ke iman badal jate hain
aasman karta hai jo chashm-e-inayat apni
rang patjhaD ke bahaaron mein badal jate hain
apni nazron se jo girte hain sambhalte hi nahin
Thokaren kha ke to raste mein sambhal jate hain
amn ki shaKH pe baiThe hue panchhi sare
shar-pasandon ki shararat se dahal jate hain
zahr bhar deta hai lahje mein sulagta mausam
guftugu karne ke andaz badal jate hain
gher leta hai hamein abr teri yaadon ka
hum charaghon ki tarah sham se jal jate hain
hasraten KHak jo ho jati hain ai 'shad' yahan
peT ki aag mein iman bhi jal jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.