ghar se nikle the aarzu kar ke
ghar se nikle the aarzū kar ke
aaj dil laa.eñ ge rafū kar ke
saare ḳhāne mahak uThe dil ke
tujh ko paane kī justujū kar ke
tujh ko māñgā tamām shab ham ne
ishq se jān-o-tan vuzū kar ke
aaj ik baar ḳhud ko phir dekho
merā ehsās chaar sū kar ke
zaḳhm dikhte nahīñ magar us ne
rakh diyā dil lahū lahū kar ke
ghar se nikle the aarzu kar ke
aaj dil laen ge rafu kar ke
sare KHane mahak uThe dil ke
tujh ko pane ki justuju kar ke
tujh ko manga tamam shab hum ne
ishq se jaan-o-tan wuzu kar ke
aaj ek bar KHud ko phir dekho
mera ehsas chaar su kar ke
zaKHm dikhte nahin magar us ne
rakh diya dil lahu lahu kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.