ghar se tere akele bhale ja rahe hain hum
ghar se tire akele bhale jā rahe haiñ ham
kuchh duur saath chal ki chale jā rahe haiñ ham
ḳhud kī baneñge vaj.h-e-tabāhī ham ek din
ik hādisa haiñ bas-ki Tale jā rahe haiñ ham
maddham huī hai kaise achānak ye raushnī
ye din Dhalā hai yā ki Dhale jā rahe haiñ ham
bāhar kī aag ham ko mayassar na ho sakī
andar sulag sulag ke jale jā rahe haiñ ham
ghar se tere akele bhale ja rahe hain hum
kuchh dur sath chal ki chale ja rahe hain hum
KHud ki banenge wajh-e-tabahi hum ek din
ek hadisa hain bas-ki Tale ja rahe hain hum
maddham hui hai kaise achanak ye raushni
ye din Dhala hai ya ki Dhale ja rahe hain hum
bahar ki aag hum ko mayassar na ho saki
andar sulag sulag ke jale ja rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.