ghar se wo ghairat-e-pari nikla
ghar se wo ghairat-e-pari nikla
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
MORE BYMunshi Debi Parshad Sahar Badayuni
ghar se vo ġhairat-e-parī niklā
mar gayā koī koī jī niklā
apnā armāñ nahīñ kabhī niklā
kab koī matlab-e-dilī niklā
isī hasrat meñ tan se jī niklā
jī kā armāñ na ek bhī niklā
dushman apnā na dost hī niklā
charḳh bhī darpa.e-badī niklā
da.avā-e-ishq ham ko thā ab tak
ġhair bhī aaj mudda'ī niklā
gāliyāñ tak bhī mujh ko dete nahīñ
is meñ kyā lutf-e-dushmanī niklā
hijr kā roz hai ġhazab ḳhūñḳhār
ki jahāñ aayā ḳhuun pī niklā
abhī baiThe raho mirī bar meñ
dil kā armāñ nahīñ abhī niklā
jis ko kal us ne qatl kar Daalā
vo hamārā hī aadmī niklā
lab-e-mai-gūñ ke ishq meñ ab to
mohtasib bhī sharāb pī niklā
hijr-e-jānāñ hai yā ki maut mirī
vo uThā bar se tan se jī niklā
haif us rashk-e-zohra yūsuf kā
ġhair-manhūs mushtarī niklā
gāliyāñ dete jaao dil le lo
ye nayā tarz-e-dilbarī niklā
maut kyā apnī jaan le jaatī
aañkh jo khol dī vahī niklā
lab-e-jāñ-baḳhsh mat hilā qātil
jo huā qatl vo hī jī niklā
samjhe bulbul ko ham the ālam-e-ishq
ik gulistāñ kā mubtadī niklā
chaar kā go ġhalat huā dā'vā
ek bosa to vājibī niklā
ġhair ko chaar ham ko bose do
ḳhuub qānūn-e-munsifī niklā
ham ye samjhe ki bas vahī aayā
shab-e-hijrāñ meñ jo koī niklā
vā'da-e-vasl kī jo iifā meñ
na unheñ 'uzr koī bhī niklā
bole qaa.il hī kar diyā ham ko
tū baḌā koī mantiqī niklā
'sehr' ham rind jānte the tujhe
tū to pahuñchā huā valī niklā
ghar se wo ghairat-e-pari nikla
mar gaya koi koi ji nikla
apna arman nahin kabhi nikla
kab koi matlab-e-dili nikla
isi hasrat mein tan se ji nikla
ji ka arman na ek bhi nikla
dushman apna na dost hi nikla
charKH bhi darpae-badi nikla
dawa-e-ishq hum ko tha ab tak
ghair bhi aaj mudda'i nikla
galiyan tak bhi mujh ko dete nahin
is mein kya lutf-e-dushmani nikla
hijr ka roz hai ghazab KHunKHar
ki jahan aaya KHun pi nikla
abhi baiThe raho meri bar mein
dil ka arman nahin abhi nikla
jis ko kal us ne qatl kar Dala
wo hamara hi aadmi nikla
lab-e-mai-gun ke ishq mein ab to
mohtasib bhi sharab pi nikla
hijr-e-jaanan hai ya ki maut meri
wo uTha bar se tan se ji nikla
haif us rashk-e-zohra yusuf ka
ghair-manhus mushtari nikla
galiyan dete jao dil le lo
ye naya tarz-e-dilbari nikla
maut kya apni jaan le jati
aankh jo khol di wahi nikla
lab-e-jaan-baKHsh mat hila qatil
jo hua qatl wo hi ji nikla
samjhe bulbul ko hum the aalam-e-ishq
ek gulistan ka mubtadi nikla
chaar ka go ghalat hua da'wa
ek bosa to wajibi nikla
ghair ko chaar hum ko bose do
KHub qanun-e-munsifi nikla
hum ye samjhe ki bas wahi aaya
shab-e-hijran mein jo koi nikla
wa'da-e-wasl ki jo ifa mein
na unhen 'uzr koi bhi nikla
bole qail hi kar diya hum ko
tu baDa koi mantiqi nikla
'sehr' hum rind jaante the tujhe
tu to pahuncha hua wali nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.