gharaunde rishton ke dharti pe sab giraate hue
gharauñde rishtoñ ke dhartī pe sab girāte hue
havā chalī hai kahīñ āsmāñ uḌāte hue
dayār-e-zindagī kyūñkar tū ajnabī sā lage
kaTī haiñ sadiyāñ idhar ham ko aate jaate hue
safar ke ḳhauf ko maiñ ne ye hausla hai diyā
ho raah koī bhī guzrūñgā gungunāte hue
gharaunde rishton ke dharti pe sab giraate hue
hawa chali hai kahin aasman uDate hue
dayar-e-zindagi kyunkar tu ajnabi sa lage
kaTi hain sadiyan idhar hum ko aate jate hue
safar ke KHauf ko main ne ye hausla hai diya
ho rah koi bhi guzrunga gungunate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.