gharon ke tale sanbhaal rakkho safar ki saat qarib-tar hai
gharoñ ke taale sañbhāl rakkho safar kī saa.at qarīb-tar hai
havā kā ruḳh ye batā rahā hai phir ek hijrat qarīb-tar hai
jo fasl boī thī nafratoñ kī ab us se bharne lage haiñ āñgan
amal jo tum ne kiyā hai lagtā hai us kī shāmat qarīb-tar hai
palaT ke dil kī taraf hī aanā hai phuul chehre kī sho.alagī ko
ḳhushī kī shiddat batā rahī hai koī aziyyat qarīb-tar hai
isī meñ umreñ guzār diiñ haiñ ham aise ḳhush-fahm ġham-zadoñ ne
ilaaj hone ko hai dukhoñ kā sukūñ kī sūrat qarīb-tar hai
batā rahā hai shafaq ke uḌte ġhubār meñ shaam kā sitāra
utarne vaalī hai raat phir ik azāb-e-zulmat qarīb-tar hai
gharon ke tale sanbhaal rakkho safar ki saat qarib-tar hai
hawa ka ruKH ye bata raha hai phir ek hijrat qarib-tar hai
jo fasl boi thi nafraton ki ab us se bharne lage hain aangan
amal jo tum ne kiya hai lagta hai us ki shamat qarib-tar hai
palaT ke dil ki taraf hi aana hai phul chehre ki shoalagi ko
KHushi ki shiddat bata rahi hai koi aziyyat qarib-tar hai
isi mein umren guzar din hain hum aise KHush-fahm gham-zadon ne
ilaj hone ko hai dukhon ka sukun ki surat qarib-tar hai
bata raha hai shafaq ke uDte ghubar mein sham ka sitara
utarne wali hai raat phir ek azab-e-zulmat qarib-tar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.