gharon mein sote sote log har raat uThne lagte hain
gharoñ meñ sote sote log har raat uThne lagte haiñ
to ābādī meñ kyā kyā inqilābāt uThne lagte haiñ
nahīñ uThte agar so.e hue sultān to ik din
jo qaabū meñ nahīñ aate vo hālāt uThne lagte haiñ
javāb aane meñ lag jaatī haiñ aksar muddateñ lekin
javāb aate hī sar meñ phir savālāt uThne lagte haiñ
vo kartā hai nihāyat bā-dil-e-nā-ḳhvāsta ruḳhsat
jab us ke paas se ham be-mudārāt uThne lagte haiñ
koī sadma nahīñ uThtā shurū-e-ishq meñ tāham
ba-tadrīj aadmī se saare sadmāt uThne lagte haiñ
'shu.ūr' apne laboñ par tum ḳhushī se muhr lagne do
dabāne se to afkār-o-ḳhayālāt uThne lagte haiñ
gharon mein sote sote log har raat uThne lagte hain
to aabaadi mein kya kya inqilabaat uThne lagte hain
nahin uThte agar soe hue sultan to ek din
jo qabu mein nahin aate wo haalat uThne lagte hain
jawab aane mein lag jati hain aksar muddaten lekin
jawab aate hi sar mein phir sawalat uThne lagte hain
wo karta hai nihayat ba-dil-e-na-KHwasta ruKHsat
jab us ke pas se hum be-mudaraat uThne lagte hain
koi sadma nahin uThta shuru-e-ishq mein taham
ba-tadrij aadmi se sare sadmat uThne lagte hain
'shuur' apne labon par tum KHushi se muhr lagne do
dabane se to afkar-o-KHayalat uThne lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.