ghaTa diya rutba har hasin ka miTa diya rang hur-e-in ka
ghaTa diya rutba har hasin ka miTa diya rang hur-e-in ka
Jaleel Manikpuri
MORE BYJaleel Manikpuri
ghaTā diyā rutba har hasīñ kā miTā diyā rañg hūr-e-īñ kā
nahīñ hai ye chāñd chaudhvīñ kā shabāb kā mere mah-jabīñ kā
ye raat hai vasl kī mirī jaañ bhare haiñ dil meñ hazāroñ armāñ
nahīñ na nikle zabāñ se haañ haañ are ye mauqa.a nahīñ nahīñ kā
tabāh vahshat meñ huuñ maiñ dar dar abhī bigaḌ jaa.e ye banā ghar
jo dil meñ rakkhūñ tujhe sitamgar to dil na rakkhe mujhe kahīñ kā
na qatl se mere haath khīñcho lahū bahā kar bahār dekho
paḌegī uḌ kar jo chhīñT is kī banegī vo phuul āstīñ kā
sitam thā bachpan kā vo zamāna ġhazab vo dil kā pasand aatā
vo god meñ merī loT jaanā machal machal kar kisī hasīñ kā
tumhīñ se rū-e-zamīñ mo.attar tumhīñ se sat.h-e-falak munavvar
tumhīñ to ho phuul yāsmīñ kā tumhīñ to ho chāñd chaudhvīñ kā
udhar sabā ne ye gul khilāyā chaman meñ kaliyoñ ko gudgudāyā
idhar hañsī ne sitam ye Dhāyā ki muñh liyā chuum us hasīñ kā
ye raat itnī jo baḌh ga.ī hai siyāhī itnī jo chaḌh ga.ī hai
kahīñ khulā hai zarūr joḌā kisī ke gesū-e-ambarīñ kā
jo ġhair se yaar tū milā hai to dekh kaisā Dubo rahā hai
tujhe mire āñsuoñ kā dariyā mujhe pasīna tirī jabīñ kā
na bahr jaarī sahāb se hai na chaah labrez aab se hai
vo dāman-e-tar kā ik laqab hai ye naam hai merī āstīñ kā
jo dekh le us kī sūrat insān agar ho kāfir to laa.e īmāñ
jamāl kyā hai but-e-hasīñ kā kamāl hai sūrat-āfrīñ kā
na shauq-e-nazzāra mujh se pūchho ye kah ke sotā huuñ roz shab ko
uThūñ jo maiñ sub.h ko ilāhī to muñh dikhānā kisī hasīñ kā
kuchh aisī kī maiñ ne jab.ha-sā.ī ki miT ga.ī baḳht kī burā.ī
milā jo us dar se dāġh-e-sajda sitāra chamkā mirī jabīñ kā
zabāñ se ho shukr adā kahāñ tak baḌā hī thā dil-navāz nāvak
kuchh is adā se jigar pe baiThā maza milā yār-e-ham-nashīñ kā
phirā adam se na koī hamdam ki haal yāroñ kā pūchhte ham
ajiib dilchasp hai do-ālam ki jo gayā ho gayā vahīñ kā
araq araq hai jo rū-e-gul-gūñ ye ḳhuub mauqa.a hai ab na chaukūñ
maiñ sarnavisht apnī dho hī Dālūñ pasīna le kar tirī jabīñ kā
'jalīl' kyā baat is suḳhan kī ġhazal meñ hai tāzgī chaman kī
jo sher hai shāḳh nastaran kī jo lafz hai phuul yāsmīñ kā
ghaTa diya rutba har hasin ka miTa diya rang hur-e-in ka
nahin hai ye chand chaudhwin ka shabab ka mere mah-jabin ka
ye raat hai wasl ki meri jaan bhare hain dil mein hazaron arman
nahin na nikle zaban se han han are ye mauqa nahin nahin ka
tabah wahshat mein hun main dar dar abhi bigaD jae ye bana ghar
jo dil mein rakkhun tujhe sitamgar to dil na rakkhe mujhe kahin ka
na qatl se mere hath khincho lahu baha kar bahaar dekho
paDegi uD kar jo chhinT is ki banegi wo phul aastin ka
sitam tha bachpan ka wo zamana ghazab wo dil ka pasand aata
wo god mein meri loT jaana machal machal kar kisi hasin ka
tumhin se ru-e-zamin moattar tumhin se sath-e-falak munawwar
tumhin to ho phul yasmin ka tumhin to ho chand chaudhwin ka
udhar saba ne ye gul khilaya chaman mein kaliyon ko gudgudaya
idhar hansi ne sitam ye Dhaya ki munh liya chum us hasin ka
ye raat itni jo baDh gai hai siyahi itni jo chaDh gai hai
kahin khula hai zarur joDa kisi ke gesu-e-ambarin ka
jo ghair se yar tu mila hai to dekh kaisa Dubo raha hai
tujhe mere aansuon ka dariya mujhe pasina teri jabin ka
na bahr jari sahab se hai na chah labrez aab se hai
wo daman-e-tar ka ek laqab hai ye nam hai meri aastin ka
jo dekh le us ki surat insan agar ho kafir to lae iman
jamal kya hai but-e-hasin ka kamal hai surat-afrin ka
na shauq-e-nazzara mujh se puchho ye kah ke sota hun roz shab ko
uThun jo main subh ko ilahi to munh dikhana kisi hasin ka
kuchh aisi ki main ne jabha-sai ki miT gai baKHt ki burai
mila jo us dar se dagh-e-sajda sitara chamka meri jabin ka
zaban se ho shukr ada kahan tak baDa hi tha dil-nawaz nawak
kuchh is ada se jigar pe baiTha maza mila yar-e-ham-nashin ka
phira adam se na koi hamdam ki haal yaron ka puchhte hum
ajib dilchasp hai do-alam ki jo gaya ho gaya wahin ka
araq araq hai jo ru-e-gul-gun ye KHub mauqa hai ab na chaukun
main sarnawisht apni dho hi Dalun pasina le kar teri jabin ka
'jalil' kya baat is suKHan ki ghazal mein hai tazgi chaman ki
jo sher hai shaKH nastaran ki jo lafz hai phul yasmin ka
- Taaj-e-sukhan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.