Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaTa ho bagh ho pahlu mein apne yar-e-jaani ho

Wafa Lakhnavi

ghaTa ho bagh ho pahlu mein apne yar-e-jaani ho

Wafa Lakhnavi

MORE BYWafa Lakhnavi

    ghaTā ho baaġh ho pahlū meñ apne yār-e-jānī ho

    jo ye sāmāñ mayassar ho to lutf-e-zindagānī ho

    maza kyā ḳhizr sūrat jo umr-e-jāvedānī ho

    ham us jiine se baaz aa.e jo tanhā zindagānī ho

    ghaTā hai sāqiyā sāmān-e-vasl-e-yār-e-jānī ho

    labālab har surāhī meñ sharāb-e-arġhavānī ho

    ḳhizāñ meñ kahte haiñ pīr-e-muġhāñ se rind-mashrab yuuñ

    bahār aa.ī kahīñ daur-e-sharāb-e-arġhavānī ho

    kisī yūsuf-liqā par dil jo aa.e ahd-e-pīrī meñ

    na.e sar se zuleḳhā sifat phir naujavānī ho

    mujhe shauq-e-shahādat tishna-lab laayā hai maqtal meñ

    pilā de āb-e-ḳhanjar pyaas agar qātil bujhānī ho

    vo mujrim huuñ kahūñgā hashr meñ allāh se ro kar

    jahannum se maiñ bach jā.ūñ jo terī mehrbānī ho

    mohabbat in butān-e-sang-dil se dekh kar karnā

    shab-e-furqat iizā gar tujhe ai dil uThānī ho

    tirī tasvīr ai jaañ khīñch le kyā taab rakhtā hai

    nazar bhar kar agar dekhe tujhe behosh maanī ho

    piye jaatā huuñ ḳhum ke ḳhum vo mai-ḳhāne meñ mai-kash huuñ

    pilā.e mujhe saaqī jahāñ tak mai pilānī ho

    habāb-e-bahr sūrat nahīñ dam bhar sabāt is ko

    mirī nazroñ meñ phir duniyā-e-dūñ kyūñkar na faanī ho

    khaḌā huuñ tuur par kab se mujhe dīdār dikhlā do

    kalīm-ullāh jab aa.eñ to un se lan-tarānī ho

    'vafā' bahr-e-ḳhudā chhoḌo mohabbat in hasīnoñ

    butoñ ke hijr meñ aisā na ho zaa.e.a javānī ho

    ghaTa ho bagh ho pahlu mein apne yar-e-jaani ho

    jo ye saman mayassar ho to lutf-e-zindagani ho

    maza kya KHizr ki surat jo umr-e-jawedani ho

    hum us jine se baz aae jo tanha zindagani ho

    ghaTa hai saqiya saman-e-wasl-e-yar-e-jaani ho

    labaalab har surahi mein sharab-e-arghawani ho

    KHizan mein kahte hain pir-e-mughan se rind-mashrab yun

    bahaar aai kahin daur-e-sharab-e-arghawani ho

    kisi yusuf-liqa par dil jo aae ahd-e-piri mein

    nae sar se zuleKHa ki sifat phir naujawani ho

    mujhe shauq-e-shahadat tishna-lab laya hai maqtal mein

    pila de aab-e-KHanjar pyas agar qatil bujhani ho

    wo mujrim hun kahunga hashr mein allah se ro kar

    jahannum se main bach jaun jo teri mehrbani ho

    mohabbat in butan-e-sang-dil se dekh kar karna

    shab-e-furqat ki iza gar tujhe ai dil uThani ho

    teri taswir ai jaan khinch le kya tab rakhta hai

    nazar bhar kar agar dekhe tujhe behosh mani ho

    piye jata hun KHum ke KHum wo mai-KHane mein mai-kash hun

    pilae ja mujhe saqi jahan tak mai pilani ho

    habab-e-bahr ki surat nahin dam bhar sabaat is ko

    meri nazron mein phir duniya-e-dun kyunkar na fani ho

    khaDa hun tur par kab se mujhe didar dikhla do

    kalim-ullah jab aaen to un se lan-tarani ho

    'wafa' bahr-e-KHuda chhoDo mohabbat in hasinon ki

    buton ke hijr mein aisa na ho zaea jawani ho

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now