Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaTa zulfon ki jab se aur kali hoti jati hai

Ateeq Asar

ghaTa zulfon ki jab se aur kali hoti jati hai

Ateeq Asar

MORE BYAteeq Asar

    ghaTā zulfoñ jab se aur kaalī hotī jaatī hai

    ruḳh-e-raushan tābānī misālī hotī jaatī hai

    mire baḳht-e-siyah ke hāshiye par raushnī hai

    mirī tārīk shab kuchh phir ujālī hotī jaatī hai

    uThe jaate haiñ dīda-var sabhī āhista āhista

    ye duniyā mo'tabar logoñ se ḳhālī hotī jaatī hai

    vo merī anjuman par rañg barsāte haiñ kuchh aisā

    ki har goshe ik ik shai nirālī hotī jaatī hai

    vo jinsiyyat-zada māhaul meñ kyā aur pā.egā

    jahāñ pākīzgī ik shai ḳhayālī hotī jaatī hai

    'atīq' us dilrubā har adā bar-haq sahī lekin

    tumhārī koshish-e-paiham bhī aalī hotī jaatī hai

    ghaTa zulfon ki jab se aur kali hoti jati hai

    ruKH-e-raushan ki tabani misali hoti jati hai

    mere baKHt-e-siyah ke hashiye par raushni si hai

    meri tarik shab kuchh phir ujali hoti jati hai

    uThe jate hain dida-war sabhi aahista aahista

    ye duniya mo'tabar logon se KHali hoti jati hai

    wo meri anjuman par rang barsate hain kuchh aisa

    ki har goshe ki ek ek shai nirali hoti jati hai

    wo jinsiyyat-zada mahaul mein kya aur paega

    jahan pakizgi ek shai KHayali hoti jati hai

    'atiq' us dilruba ki har ada bar-haq sahi lekin

    tumhaari koshish-e-paiham bhi aali hoti jati hai

    Source :
    • Book : Hare-o-Nawa (Pg. 88)
    • Author : Ateeq Asar
    • Publication : Mohd Brothers (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now