ghaTaen chhai hain saghar uTha le jis ka ji chahe
ghaTaen chhai hain saghar uTha le jis ka ji chahe
Nawab Moazzam Jah Shaji
MORE BYNawab Moazzam Jah Shaji
ghaTā.eñ chhā.ī haiñ sāġhar uThā le jis kā jī chāhe
ye mai-ḳhāna hai qismat aazmā le jis kā jī chāhe
mohabbat karne vāloñ kā jahāñ meñ kaun hotā hai
koī apnā nahīñ ham ko satā le jis kā jī chāhe
ġham-e-daurāñ se bachnā zindagī meñ ġhair-mumkin hai
ġham-e-jānāñ ko siine se lagā le jis kā jī chāhe
kise miltī hai fursat umr-bhar aañsū bahāne se
kalī kī tarah dam-bhar muskurā le jis kā jī chāhe
'shajī.a' is zindagī meñ ham talabgār-e-mohabbat haiñ
mohabbat se hameñ apnā banā le jis kā jī chāhe
ghaTaen chhai hain saghar uTha le jis ka ji chahe
ye mai-KHana hai qismat aazma le jis ka ji chahe
mohabbat karne walon ka jahan mein kaun hota hai
koi apna nahin hum ko sata le jis ka ji chahe
gham-e-dauran se bachna zindagi mein ghair-mumkin hai
gham-e-jaanan ko sine se laga le jis ka ji chahe
kise milti hai fursat umr-bhar aansu bahane se
kali ki tarah dam-bhar muskura le jis ka ji chahe
'shajia' is zindagi mein hum talabgar-e-mohabbat hain
mohabbat se hamein apna bana le jis ka ji chahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.