ghaTaen ghirti hain bijli kaDak ke girti hai
ghaTā.eñ ghirtī haiñ bijlī kaḌak ke girtī hai
ye kis kī pyaas hai jo be-qarār phirtī hai
ajiib ḳhauf kī bastī hai ye diyā hī nahīñ
havā bhī ḳhvāhish-e-dil ko chhipā.e phirtī hai
nazar na pher nadāmat ko sair hone de
ye badlī dil meñ kahāñ roz roz ghirtī hai
sameT letī hai har shai ko apne paikar meñ
shabīh kis kī hai jo putliyoñ meñ phirtī hai
havelī chhoḌne kā vaqt aa gayā 'arshad'
sutūñ larazte haiñ aur chhat kī miTTī girtī hai
ghaTaen ghirti hain bijli kaDak ke girti hai
ye kis ki pyas hai jo be-qarar phirti hai
ajib KHauf ki basti hai ye diya hi nahin
hawa bhi KHwahish-e-dil ko chhipae phirti hai
nazar na pher nadamat ko sair hone de
ye badli dil mein kahan roz roz ghirti hai
sameT leti hai har shai ko apne paikar mein
shabih kis ki hai jo putliyon mein phirti hai
haweli chhoDne ka waqt aa gaya 'arshad'
sutun larazte hain aur chhat ki miTTi girti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.