ghaTaen raqs karti hain ye mausam raqs karte hain
ghaTā.eñ raqs kartī haiñ ye mausam raqs karte haiñ
vo zulfoñ ko jab apnī kar ke pur-nam raqs karte haiñ
baḌī mastī baḌī gahrā.ī hai un shoḳh āñkhoñ meñ
unhīñ meñ mast ho kar donoñ aalam raqs karte haiñ
havā.eñ aane lagtī haiñ kabhī jab un ke dāman kī
diye bhī kar ke apnī lau ko maddham raqs karte haiñ
tumhāre hijr kī rātoñ meñ jab tanhā.ī Dastī hai
bajā kar apnī ham sāñsoñ kī sargam raqs karte haiñ
bahāroñ jhūmne lagtī haiñ un kā naam sunte hī
sajā lete haiñ gul hoñToñ pe shabnam raqs karte haiñ
miyāñ ham to qalandar haiñ hamārā haal mat pūchho
hamāre siine meñ kitne hī sañgam raqs karte haiñ
kabhī jab mil ke aate haiñ kahīñ tanhā.ī meñ un se
darīche band kar lete haiñ aur ham raqs karte haiñ
hazāroñ bijliyāñ sadqe meñ un ke TuuT jaatī haiñ
pahan ke nuur kī paa.el jo hamdam raqs karte haiñ
'nadīm' apnī adā aisī hai jis ke sāmne aa kar
ḳhushī mad.hosh ho jaatī hai aur ġham raqs karte haiñ
ghaTaen raqs karti hain ye mausam raqs karte hain
wo zulfon ko jab apni kar ke pur-nam raqs karte hain
baDi masti baDi gahrai hai un shoKH aankhon mein
unhin mein mast ho kar donon aalam raqs karte hain
hawaen aane lagti hain kabhi jab un ke daman ki
diye bhi kar ke apni lau ko maddham raqs karte hain
tumhaare hijr ki raaton mein jab tanhai Dasti hai
baja kar apni hum sanson ki sargam raqs karte hain
bahaaron jhumne lagti hain un ka nam sunte hi
saja lete hain gul honTon pe shabnam raqs karte hain
miyan hum to qalandar hain hamara haal mat puchho
hamare sine mein kitne hi sangam raqs karte hain
kabhi jab mil ke aate hain kahin tanhai mein un se
dariche band kar lete hain aur hum raqs karte hain
hazaron bijliyan sadqe mein un ke TuT jati hain
pahan ke nur ki pael jo hamdam raqs karte hain
'nadim' apni ada aisi hai jis ke samne aa kar
KHushi madhosh ho jati hai aur gham raqs karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.