ghaTiya lahje mein bazari baat karen
ghaTiyā lahje meñ bāzārī baat kareñ
shā.ir bhī ab kab meyārī baat kareñ
aate jaate log musalsal takte haiñ
raste meñ ham kaise saarī baat kareñ
daftar ke kāmoñ ko daftar tak rakkheñ
ghar meñ baiTh ke kyoñ sarkārī baat kareñ
shab bhar vo aur us kī ek sahelī bhī
donoñ mujh se baarī baarī baat kareñ
chāñd ke jaisā raushan raushan ham socheñ
aur phūloñ ke jaisī pyārī baat kareñ
ab vahshat ke haath pe bai'at kar ke ham
ik duuje se khul kar saarī baat kareñ
ghaTiya lahje mein bazari baat karen
shair bhi ab kab meyari baat karen
aate jate log musalsal takte hain
raste mein hum kaise sari baat karen
daftar ke kaamon ko daftar tak rakkhen
ghar mein baiTh ke kyon sarkari baat karen
shab bhar wo aur us ki ek saheli bhi
donon mujh se bari bari baat karen
chand ke jaisa raushan raushan hum sochen
aur phulon ke jaisi pyari baat karen
ab wahshat ke hath pe bai'at kar ke hum
ek duje se khul kar sari baat karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.