Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere labon pe aaj qayamat ka waqt hai

Saleem Siddiqui

mere labon pe aaj qayamat ka waqt hai

Saleem Siddiqui

mere laboñ pe aaj qayāmat vaqt hai

neze pe sar hai aur tilāvat vaqt hai

vaj.h-e-shikast-e-jang taftīsh phir kabhī

pahle sipāhiyoñ ayādat vaqt hai

jugnū bhī ghar se nikleñ sitāre bhī aa.eñ saath

miTTī ke ik diye pe musībat vaqt hai

sūraj jalā rahā hai gunāhoñ dhuup meñ

dariyā batā rahā hai nadāmat vaqt hai

hone lagī hai tang mire jism par ye ḳhaak

ya.anī ki ab zamīn se hijrat vaqt hai

sabze bhī jal chuke haiñ parinde bhī uḌ ga.e

aisā mire makān pe ġhurbat vaqt hai

maiñ rahā huuñ apnā suḳhan bechne 'salīm'

yaaro ḳhatā muaaf tijārat vaqt hai

mere labon pe aaj qayamat ka waqt hai

neze pe sar hai aur tilawat ka waqt hai

wajh-e-shikast-e-jang ki taftish phir kabhi

pahle sipahiyon ki ayaadat ka waqt hai

jugnu bhi ghar se niklen sitare bhi aaen sath

miTTi ke ek diye pe musibat ka waqt hai

suraj jala raha hai gunahon ki dhup mein

dariya bata raha hai nadamat ka waqt hai

hone lagi hai tang mere jism par ye KHak

yani ki ab zamin se hijrat ka waqt hai

sabze bhi jal chuke hain parinde bhi uD gae

aisa mere makan pe ghurbat ka waqt hai

main ja raha hun apna suKHan bechne 'salim'

yaro KHata muaf tijarat ka waqt hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now