Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchhi surat pe ghazab TuT ke aana dil ka

Dagh Dehlvi

achchhi surat pe ghazab TuT ke aana dil ka

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    Interesting Fact

    Film : Jaanisaar 2015

    achchhī sūrat pe ġhazab TuuT ke aanā dil

    yaad aatā hai hameñ haa.e zamānā dil

    tum bhī muñh chuum lo be-sāḳhta pyaar aa jaa.e

    maiñ sunā.ūñ jo kabhī dil se fasānā dil

    nigah-e-yār ne ḳhāna-ḳharābī aisī

    na Thikānā hai jigar na Thikānā dil

    puurī mehñdī bhī lagānī nahīñ aatī ab tak

    kyūñkar aayā tujhe ġhairoñ se lagānā dil

    ġhuncha-e-gul ko vo muTThī meñ liye aate the

    maiñ ne pūchhā to kiyā mujh se bahānā dil

    in hasīnoñ laḌakpan rahe allāh

    hosh aatā hai to aatā hai satānā dil

    de ḳhudā aur jagah siina o pahlū ke sivā

    ki bure vaqt meñ ho jaa.e Thikānā dil

    merī āġhosh se kyā vo taḌap kar nikle

    un jaanā thā ilāhī ki ye jaanā dil

    nigah-e-sharm ko be-tāb kiyā kaam kiyā

    rañg laayā tirī āñkhoñ meñ samānā dil

    uñgliyāñ tār-e-garebāñ meñ ulajh jaatī haiñ

    saḳht dushvār hai hāthoñ se dabānā dil

    huur shakl ho tum nuur ke putle ho tum

    aur is par tumheñ aatā hai jalānā dil

    chhoḌ kar us ko tirī bazm se kyūñkar jā.ūñ

    ik janāze uThānā hai uThānā dil

    be-dilī jo kahā haal to farmāte haiñ

    kar liyā ne kahīñ aur Thikānā dil

    ba.ad muddat ke ye ai 'dāġh' samajh meñ aayā

    vahī daanā hai kahā jis ne na maanā dil

    achchhi surat pe ghazab TuT ke aana dil ka

    yaad aata hai hamein hae zamana dil ka

    tum bhi munh chum lo be-saKHta pyar aa jae

    main sunaun jo kabhi dil se fasana dil ka

    nigah-e-yar ne ki KHana-KHarabi aisi

    na Thikana hai jigar ka na Thikana dil ka

    puri mehndi bhi lagani nahin aati ab tak

    kyunkar aaya tujhe ghairon se lagana dil ka

    ghuncha-e-gul ko wo muTThi mein liye aate the

    main ne puchha to kiya mujh se bahana dil ka

    in hasinon ka laDakpan hi rahe ya allah

    hosh aata hai to aata hai satana dil ka

    de KHuda aur jagah sina o pahlu ke siwa

    ki bure waqt mein ho jae Thikana dil ka

    meri aaghosh se kya hi wo taDap kar nikle

    un ka jaana tha ilahi ki ye jaana dil ka

    nigah-e-sharm ko be-tab kiya kaam kiya

    rang laya teri aankhon mein samana dil ka

    ungliyan tar-e-gareban mein ulajh jati hain

    saKHt dushwar hai hathon se dabana dil ka

    hur ki shakl ho tum nur ke putle ho tum

    aur is par tumhein aata hai jalana dil ka

    chhoD kar us ko teri bazm se kyunkar jaun

    ek janaze ka uThana hai uThana dil ka

    be-dili ka jo kaha haal to farmate hain

    kar liya tu ne kahin aur Thikana dil ka

    baad muddat ke ye ai 'dagh' samajh mein aaya

    wahi dana hai kaha jis ne na mana dil ka

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Shreya Ghoshal

    Shreya Ghoshal

    Suraiya

    Suraiya

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-daag(mehtaab-e-daag (Pg. 4)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now