Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh yaadgar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalen

Nasir Kazmi

kuchh yaadgar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalen

Nasir Kazmi

kuchh yādgār-e-shahr-e-sitamgar le chaleñ

aa.e haiñ is galī meñ to patthar le chaleñ

yuuñ kis tarah kaTegā kaḌī dhuup safar

sar par ḳhayāl-e-yār chādar le chaleñ

ranj-e-safar koī nishānī to paas ho

thoḌī ḳhāk-e-kūcha-e-dilbar le chaleñ

ye kah ke chheḌtī hai hameñ dil-giraftagī

ghabrā ga.e haiñ aap to bāhar le chaleñ

is shahr-e-be-charāġh meñ jā.egī kahāñ

aa ai shab-e-firāq tujhe ghar le chaleñ

kuchh yaadgar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalen

aae hain is gali mein to patthar hi le chalen

yun kis tarah kaTega kaDi dhup ka safar

sar par KHayal-e-yar ki chadar hi le chalen

ranj-e-safar ki koi nishani to pas ho

thoDi si KHak-e-kucha-e-dilbar hi le chalen

ye kah ke chheDti hai hamein dil-giraftagi

ghabra gae hain aap to bahar hi le chalen

is shahr-e-be-charagh mein jaegi tu kahan

aa ai shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

kuchh yaadgar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalen Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now