shayad main zindagi ki sahar le ke aa gaya
shāyad maiñ zindagī kī sahar le ke aa gayā
qātil ko aaj apne hī ghar le ke aa gayā
tā-umr DhūñDhtā rahā manzil maiñ ishq kī
anjām ye ki gard-e-safar le ke aa gayā
nashtar hai mere haath meñ kāñdhoñ pe mai-kada
lo maiñ ilāj-e-dard-e-jigar le ke aa gayā
'fākir' sanam-kade meñ na aatā maiñ lauT kar
ik zaḳhm bhar gayā thā idhar le ke aa gayā
shayad main zindagi ki sahar le ke aa gaya
qatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya
ta-umr DhunDhta raha manzil main ishq ki
anjam ye ki gard-e-safar le ke aa gaya
nashtar hai mere hath mein kandhon pe mai-kada
lo main ilaj-e-dard-e-jigar le ke aa gaya
'fakir' sanam-kade mein na aata main lauT kar
ek zaKHm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya
- Book : Jagjit Chatra ki Ghazlen (Pg. 56)
- Publication : Diamond Poket Box, New Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.