dil mein jab shoala-e-ehsas machal jata hai
dil meñ jab sho.ala-e-ehsās machal jaatā hai
mom kī tarah se patthar bhī pighal jaatā hai
kaise kah duuñ ki ye sūraj hai ujāloñ kā amiiñ
shaam hote hī añdheroñ meñ jo Dhal jaatā hai
chand qatroñ kī mire dost haqīqat kyā hai
zarf vaalā to samundar bhī nigal jaatā hai
kyā zarūrī hai ki sho.aloñ ko havā dī jaa.e
jis ko jalnā hai vo phūloñ se bhī jal jaatā hai
ye siyāsat kā hai bāzār yahāñ par yaaro
khoTā sikka bhī khare dāmoñ meñ chal jaatā hai
vaqt ke saath badal jaate haiñ chehre 'gulshan'
log kahte haiñ ki ā.īna badal jaatā hai
dil mein jab shoala-e-ehsas machal jata hai
mom ki tarah se patthar bhi pighal jata hai
kaise kah dun ki ye suraj hai ujalon ka amin
sham hote hi andheron mein jo Dhal jata hai
chand qatron ki mere dost haqiqat kya hai
zarf wala to samundar bhi nigal jata hai
kya zaruri hai ki shoalon ko hawa di jae
jis ko jalna hai wo phulon se bhi jal jata hai
ye siyasat ka hai bazar yahan par yaro
khoTa sikka bhi khare damon mein chal jata hai
waqt ke sath badal jate hain chehre 'gulshan'
log kahte hain ki aaina badal jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.