gher kar jurat-e-inkar talak le aae
gher kar jur.at-e-inkār talak le aa.e
log ham ko rasan-o-dār talak le aa.e
ham ko un par hī bharosa thā jo aksar ham ko
de ke phūloñ kī qasam ḳhaar talak le aa.e
dil ke amrāz ye dekhā hai ki darmāñ ke liye
ek bīmār ko bīmār talak le aa.e
rok paa.ī na zabāñ bhī mirī alfāz mire
valvale quvvat-e-iz.hār talak le aa.e
āsmāñ ham ne banā.e the jo apnī ḳhātir
ham jahāñ ko usī me.aar talak le aa.e
rah gayā mal ke samundar kaf-e-afsos aur ham
naav us paar se is paar talak le aa.e
thā hameñ shauq-e-asīrī na samajhnā ye 'nihāl'
lū ke jhoñke dar-o-dīvār talak le aa.e
gher kar jurat-e-inkar talak le aae
log hum ko rasan-o-dar talak le aae
hum ko un par hi bharosa tha jo aksar hum ko
de ke phulon ki qasam KHar talak le aae
dil ke amraaz ye dekha hai ki darman ke liye
ek bimar ko bimar talak le aae
rok pai na zaban bhi meri alfaz mere
walwale quwwat-e-izhaar talak le aae
aasman hum ne banae the jo apni KHatir
hum jahan ko usi mear talak le aae
rah gaya mal ke samundar kaf-e-afsos aur hum
naw us par se is par talak le aae
tha hamein shauq-e-asiri na samajhna ye 'nihaal'
lu ke jhonke dar-o-diwar talak le aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.