ghira nahin us jamal mein bhi
ghirā nahīñ us jamāl meñ bhī
kashish thī jis ke ḳhayāl meñ bhī
rahī vahī tishnagī musalsal
firāq sā thā visāl meñ bhī
javāb meñ aa gayā vo kaise
ki jo nahīñ thā savāl meñ bhī
rahā mire saath merā allāh
uruuj dekhā zavāl meñ bhī
tumhī se hai ye tumhārā 'jāzib'
jahān-e-auj-e-kamāl meñ bhī
ghira nahin us jamal mein bhi
kashish thi jis ke KHayal mein bhi
rahi wahi tishnagi musalsal
firaq sa tha visal mein bhi
jawab mein aa gaya wo kaise
ki jo nahin tha sawal mein bhi
raha mere sath mera allah
uruj dekha zawal mein bhi
tumhi se hai ye tumhaara 'jazib'
jahan-e-auj-e-kamal mein bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.