ghuma phira ke hamari nazar wahin aati
ghumā phirā ke hamārī nazar vahīñ aatī
har āsmān guzarne pe phir zamīñ aatī
namāz niiñd se behtar hai par mire mālik
tire vo log jinheñ niiñd hī nahīñ aatī
hamārī pusht pe laade hue gunāhoñ se
ajab tanāv meñ terī taraf jabīñ aatī
hamārī guuñj lapeTī hai in pahāḌoñ meñ
tumhārī yaad palaTte hue yahīñ aatī
ye hal ke bail masāfat nahīñ ginā karte
hamāre kaaj meñ fursat kabhī nahīñ aatī
ham apnī zaat ke andar chale ga.e 'rāshid'
tumhāre qurb kī mastī bhī ab nahīñ aatī
ghuma phira ke hamari nazar wahin aati
har aasman guzarne pe phir zamin aati
namaz nind se behtar hai par mere malik
tere wo log jinhen nind hi nahin aati
hamari pusht pe lade hue gunahon se
ajab tanaw mein teri taraf jabin aati
hamari gunj lapeTi hai in pahaDon mein
tumhaari yaad palaTte hue yahin aati
ye hal ke bail masafat nahin gina karte
hamare kaj mein fursat kabhi nahin aati
hum apni zat ke andar chale gae 'rashid'
tumhaare qurb ki masti bhi ab nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.