ghungru pe baat kar na tu pail pe baat kar
ghuñgrū pe baat kar na tū paa.il pe baat kar
mujh se tavā.ifoñ ke masā.il pe baat kar
fōtpath par paḌā huā dīvān-e-mīr dekh
raddī meñ bikne vaale rasā.il pe baat kar
is meñ bhī ajr hai nihāñ naflī namāz kā
masjid meñ bhiik māñgte saa.il pe baat kar
merā duā se baḌh ke davā par yaqīn hai
mujh se vasīla chhoḌ vasā.il pe baat kar
aa mere saath baiTh mire saath chaa.e pī
aa mere saath mere dalā.il pe baat kar
sardār haiñ jo aaj vo ġhaddār the kabhī
jā un se un ke daur-e-avā.il pe baat kar
'vāsif' bhī sālikoñ ke qabīle kā fard hai
'vāsif' se ārifoñ ke shamā.il pe baat kar
ghungru pe baat kar na tu pail pe baat kar
mujh se tawaifon ke masail pe baat kar
footpath par paDa hua diwan-e-mir dekh
raddi mein bikne wale rasail pe baat kar
is mein bhi ajr hai nihan nafli namaz ka
masjid mein bhik mangte sail pe baat kar
mera dua se baDh ke dawa par yaqin hai
mujh se wasila chhoD wasail pe baat kar
aa mere sath baiTh mere sath chae pi
aa mere sath mere dalail pe baat kar
sardar hain jo aaj wo ghaddar the kabhi
ja un se un ke daur-e-awail pe baat kar
'wasif' bhi salikon ke qabile ka fard hai
'wasif' se aarifon ke shamail pe baat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.