ghup KHamoshi jaise qabristan mein hun
ghup ḳhāmoshī jaise qabristān meñ huuñ
kyā maiñ zinda lāshoñ ke asthān meñ huuñ
raat Dhale vīrānī milne aatī hai
jāntī hai maiñ us ke aqd amaan meñ huuñ
sard havā.eñ yaad us kī biphrā mausam
vahshat-e-zīst batā maiñ kis ke dhyān meñ huuñ
phir sarsabz hue jaate haiñ saare peḌ
lagtā hai ik maiñ hī namak kī kaan meñ huuñ
jānte ho is vaqt mirī hālat hai kiyā
kaalā phuul udāsī ke gul-dān meñ huuñ
vāpas jaane vaale ghar ko jaate haiñ
maiñ āzād parinda kis zindān meñ huuñ
lū se ziyāda tez nigāhoñ kī āñdhī
maiñ jīvan ke aise registān meñ huuñ
ghup KHamoshi jaise qabristan mein hun
kya main zinda lashon ke asthan mein hun
raat Dhale virani milne aati hai
jaanti hai main us ke aqd aman mein hun
sard hawaen yaad us ki biphra mausam
wahshat-e-zist bata main kis ke dhyan mein hun
phir sarsabz hue jate hain sare peD
lagta hai ek main hi namak ki kan mein hun
jaante ho is waqt meri haalat hai kiya
kala phul udasi ke gul-dan mein hun
wapas jaane wale ghar ko jate hain
main aazad parinda kis zindan mein hun
lu se ziyaada tez nigahon ki aandhi
main jiwan ke aise registan mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.