ghuT-ghuT ke tere ishq mein kitna raha hun main
ghuT-ghuT ke tere ishq mein kitna raha hun main
Vatsal Sharma Vats
MORE BYVatsal Sharma Vats
ghuT-ghuT ke tere 'ishq meñ kitnā rahā huuñ maiñ
itnā ki apne saath bhī tanhā rahā huuñ maiñ
nā-paidā maiñ hayāt-o-qazā ke bharam sā huuñ
hotā rahā huuñ saath meñ khotā rahā huuñ maiñ
āñkheñ charāġh-e-muflisāñ se kam nahīñ mirī
har ashk ko sañbhāl ke rotā rahā huuñ maiñ
phir dil chalā na jaa.e kahīñ 'ishq-e-dost meñ
dushman hī ḳhud ko aap kā Thahrā rahā huuñ maiñ
dil meñ lage ki tan meñ lage aag aag hai
zinda chitā sā 'ishq meñ jaltā rahā huuñ maiñ
kahtā thā maar Dālegā marnā tirā mujhe
kaise batā.ūñ tujh ko ki jiitā rahā huuñ maiñ
detā vajah tū kaash mujhe tark-e-'ishq kī
zulm apne hī ḳhayāl ke sahtā rahā huuñ maiñ
maiñ bhāgtā rahā huuñ haqīqat se 'ishq kī
aur 'ishq ke ḳhayāl meñ baiThā rahā huuñ maiñ
she'r-o-suḳhan kī raah meñ tanhā.ī saath hai
jo bhī ye boltī hai so dohrā rahā huuñ maiñ
ghuT-ghuT ke tere 'ishq mein kitna raha hun main
itna ki apne sath bhi tanha raha hun main
na-paida main hayat-o-qaza ke bharam sa hun
hota raha hun sath mein khota raha hun main
aankhen charagh-e-muflisan se kam nahin meri
har ashk ko sanbhaal ke rota raha hun main
phir dil chala na jae kahin 'ishq-e-dost mein
dushman hi KHud ko aap ka Thahra raha hun main
dil mein lage ki tan mein lage aag aag hai
zinda chita sa 'ishq mein jalta raha hun main
kahta tha mar Dalega marna tera mujhe
kaise bataun tujh ko ki jita raha hun main
deta wajah tu kash mujhe tark-e-'ishq ki
zulm apne hi KHayal ke sahta raha hun main
main bhagta raha hun haqiqat se 'ishq ki
aur 'ishq ke KHayal mein baiTha raha hun main
she'r-o-suKHan ki rah mein tanhai sath hai
jo bhi ye bolti hai so dohra raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.