ghuT ke rah jati hain sine mein sadaen kitni
ghuT ke rah jaatī haiñ siine meñ sadā.eñ kitnī
jam ga.ī haiñ mere hoñToñ pe duā.eñ kitnī
pūchhnā chāhiye aadam ko ḳhudā se apne
ek hī jurm kī hotī haiñ sazā.eñ kitnī
zahr-ālūd hañsī gāliyāñ aañsū ash.ār
mere jazbāt ne oḌhī haiñ ridā.eñ kitnī
haq kī āvāz ko pahchān sakūñgā kaise
gūñjtī haiñ mere kānoñ meñ sadā.eñ kitnī
mere ḳhāliq mujhe itnī to ḳhabar dī jaa.e
mujh se sarzad abhī honā haiñ ḳhatā.eñ kitnī
kuchh hisāb is kā farishtoñ ne bhī rakkhā hogā
mustarad kar dī ga.iiñ merī duā.eñ kitnī
raas aane kī tarah raas nahīñ aatī haiñ
kaj haiñ doshīza-e-hastī kī adā.eñ kitnī
ghuT ke rah jati hain sine mein sadaen kitni
jam gai hain mere honTon pe duaen kitni
puchhna chahiye aadam ko KHuda se apne
ek hi jurm ki hoti hain sazaen kitni
zahr-alud hansi galiyan aansu ashaar
mere jazbaat ne oDhi hain ridaen kitni
haq ki aawaz ko pahchan sakunga kaise
gunjti hain mere kanon mein sadaen kitni
mere KHaliq mujhe itni to KHabar di jae
mujh se sarzad abhi hona hain KHataen kitni
kuchh hisab is ka farishton ne bhi rakkha hoga
mustarad kar di gain meri duaen kitni
ras aane ki tarah ras nahin aati hain
kaj hain doshiza-e-hasti ki adaen kitni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.