ghuT ke rah jaunga be-ehsas gham-KHwaron ke pech
ghuT ke rah jā.ūñgā be-ehsās ġham-ḳhvāroñ ke pech
aa gayā huuñ apne hī kamre kī dīvāroñ ke biich
maiñ mirā dil raat piilā chāñd terī yaad kā
mar rahī hai ik kahānī apne kirdāroñ ke biich
murta.ish haiñ chand sāñseñ to sukūt-e-shahr meñ
koī to zinda hai is malbe ke ambāroñ ke biich
ghuT ke mar jaa.eñ nadāmat se na apne rahnumā
phañs ga.ī haiñ gardaneñ tahsīn ke hāroñ ke biich
ghuT ke rah jaunga be-ehsas gham-KHwaron ke pech
aa gaya hun apne hi kamre ki diwaron ke bich
main mera dil raat pila chand teri yaad ka
mar rahi hai ek kahani apne kirdaron ke bich
murtaish hain chand sansen to sukut-e-shahr mein
koi to zinda hai is malbe ke ambaron ke bich
ghuT ke mar jaen nadamat se na apne rahnuma
phans gai hain gardanen tahsin ke haaron ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.