ghuTi ghuTi hi sahi meri chah le lena
ghuTī ghuTī hī sahī merī chaah le lenā
safar tavīl hai kuchh zād-e-rāh le lenā
maiñ be-samar hī sahī phir bhī sāya-dār to huuñ
kaḌī ho dhuup to mujh meñ panāh le lenā
abhī to saath chalo haañ jahāñ maiñ ruk jā.ūñ
tum us maqām se phir apnī raah le lenā
kisī maqām pe mumkin hai kaam aa jaa.e
hamāre biich jo thī rasm-o-rāh le lenā
vo kam-savād sahī phir bhī ye nahīñ āsāñ
ġhanīm-e-dahr ke sar se kulāh le lenā
yahī bahut hai ki is daur-e-ibtilā meñ 'taqī'
kisī kā merī ḳhabar gaah gaah le lenā
ghuTi ghuTi hi sahi meri chah le lena
safar tawil hai kuchh zad-e-rah le lena
main be-samar hi sahi phir bhi saya-dar to hun
kaDi ho dhup to mujh mein panah le lena
abhi to sath chalo han jahan main ruk jaun
tum us maqam se phir apni rah le lena
kisi maqam pe mumkin hai kaam aa jae
hamare bich jo thi rasm-o-rah le lena
wo kam-sawad sahi phir bhi ye nahin aasan
ghanim-e-dahr ke sar se kulah le lena
yahi bahut hai ki is daur-e-ibtila mein 'taqi'
kisi ka meri KHabar gah gah le lena
- Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 64)
- Author : Yousuf Taqi
- Publication : Yousuf Taqi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.