ghuTi ghuTi si faza mein shaguftagi to mili
ghuTī ghuTī sī fazā meñ shaguftagī to milī
chaman meñ shukr hai hañstī koī kalī to milī
balā se barq girī mere āshiyāne par
añdherī raat ke rahrav ko raushnī to milī
rahā na shikva-e-be-chārgī ki ġhurbat meñ
qadam qadam pe sahāre ko be-kasī to milī
hamāre dil se koī pūchhe qadr us mai kī
jo ek buuñd sahī vaqt-e-tishnagī to milī
sambhal sambhal ke mire dil ko toḌne vaale
tirī jafā meñ mohabbat kī chāshnī to milī
kisī kā bhī na rakhā thā ḳhirad ne apne sivā
junūñ kī raah pe chalne se āgahī to milī
na thā nasīb meñ gar sīm-o-zar to kyā 'sāqī'
dar-e-habīb kī ham ko gadāgarī to milī
ghuTi ghuTi si faza mein shaguftagi to mili
chaman mein shukr hai hansti koi kali to mili
bala se barq giri mere aashiyane par
andheri raat ke rahraw ko raushni to mili
raha na shikwa-e-be-chaargi ki ghurbat mein
qadam qadam pe sahaare ko be-kasi to mili
hamare dil se koi puchhe qadr us mai ki
jo ek bund sahi waqt-e-tishnagi to mili
sambhal sambhal ke mere dil ko toDne wale
teri jafa mein mohabbat ki chashni to mili
kisi ka bhi na rakha tha KHirad ne apne siwa
junun ki rah pe chalne se aagahi to mili
na tha nasib mein gar sim-o-zar to kya 'saqi'
dar-e-habib ki hum ko gadagari to mili
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 15)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.