ghumne jab wo sham se nikle
ghūmne jab vo shaam se nikle
ham bhī apne maqām se nikle
aarzū hai ki chalte-phirte hī
ruuh qaid-e-davām se nikle
sirf sayyād hī kī ġhaflat se
said kitne hī daam se nikle
ahl-e-duniyā se the jo nā-mumkin
kaam vo tere naam se nikle
aaj hājat-ravā.ī kī ḳhātir
aap kyā mere kaam se nikle
mai hai yā koī aag hai saaqī
kitne hī sho.ale jaam se nikle
un ke dil meñ maqām paane ko
ham bhī kuchh ehtimām se nikle
aaj 'ḳhākī' ke kuchh dilī armāñ
kaam ke iḳhtitām se nikle
ghumne jab wo sham se nikle
hum bhi apne maqam se nikle
aarzu hai ki chalte-phirte hi
ruh qaid-e-dawam se nikle
sirf sayyaad hi ki ghaflat se
said kitne hi dam se nikle
ahl-e-duniya se the jo na-mumkin
kaam wo tere nam se nikle
aaj hajat-rawai ki KHatir
aap kya mere kaam se nikle
mai hai ya koi aag hai saqi
kitne hi shoale jam se nikle
un ke dil mein maqam pane ko
hum bhi kuchh ehtimam se nikle
aaj 'KHaki' ke kuchh dili arman
kaam ke iKHtitam se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.