ghurte raston ka aaseb bana hun main to
ghūrte rastoñ kā aaseb banā huuñ maiñ to
mujh se mil pāoge kyā shām-e-balā huuñ maiñ to
devtāoñ se na hogā mirā darmān-e-zavāl
āsmānoñ ke siñghāsan se girā huuñ maiñ to
jaate mausam kī tarah us se kabhī mil na sakā
ek lamhe ke ta.alluq kī sazā huuñ maiñ to
log galiyoñ meñ hī DhūñDā kiye āñdhī ke surāġh
apnī āñkhoñ ke hisāroñ meñ bujhā huuñ maiñ to
zahr ban kar vo 'musavvir' mirī nas nas meñ rahā
maiñ ne samjhā thā use bhuul chukā huuñ maiñ to
ghurte raston ka aaseb bana hun main to
mujh se mil paoge kya sham-e-bala hun main to
dewtaon se na hoga mera darman-e-zawal
aasmanon ke singhasan se gira hun main to
jate mausam ki tarah us se kabhi mil na saka
ek lamhe ke talluq ki saza hun main to
log galiyon mein hi DhunDa kiye aandhi ke suragh
apni aankhon ke hisaron mein bujha hun main to
zahr ban kar wo 'musawwir' meri nas nas mein raha
main ne samjha tha use bhul chuka hun main to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.