gili lakDi ko sulga kar ashkon se arzi likhunga
giilī lakḌī ko sulgā kar ashkoñ se arzī likhūñgā
aaj dhueñ ke bādal par maiñ bārish ko chiTThī likhūñgā
is zindāñ ke kuchh qaidī hī merī baat samajh pā.eñge
jab patthar kī dīvāroñ par miTTī se miTTī likhūñgā
mujh jaise kuchh dīvāne hī zinda dil hote haiñ sāhab
maiñ itnā kamzor nahīñ jo pankhā aur rassī likhūñgā
kab tak ghar meñ baiThe baiThe apne dil ke chhāle phoḌūñ
ab to in taptī saḌkoñ par āvāra-gardī likhūñgā
ham donoñ hī apnī apnī fitrat ke maare insāñ haiñ
tū mujh meñ ḳhāmī DhūñDegā maiñ terī ḳhūbī likhūñgā
kuchh aise tahrīr karūñgā ik misre meñ do afsāne
dariyā ko sāhil likhūñgā tūfāñ ko kashtī likhūñgā
gili lakDi ko sulga kar ashkon se arzi likhunga
aaj dhuen ke baadal par main barish ko chiTThi likhunga
is zindan ke kuchh qaidi hi meri baat samajh paenge
jab patthar ki diwaron par miTTi se miTTi likhunga
mujh jaise kuchh diwane hi zinda dil hote hain sahab
main itna kamzor nahin jo pankha aur rassi likhunga
kab tak ghar mein baiThe baiThe apne dil ke chhaale phoDun
ab to in tapti saDkon par aawara-gardi likhunga
hum donon hi apni apni fitrat ke mare insan hain
tu mujh mein KHami DhunDega main teri KHubi likhunga
kuchh aise tahrir karunga ek misre mein do afsane
dariya ko sahil likhunga tufan ko kashti likhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.