git KHushbu shabab ki baaten
giit ḳhushbū shabāb kī bāteñ
ye to saarī haiñ ḳhvāb kī bāteñ
ishq māshūq hijr aur furqat
ye haiñ sab iztirāb kī bāteñ
zindagī mere saath guzregī
tark kar do hisāb kī bāteñ
jab se maqtal meñ sang toḌā hai
ho rahī haiñ gulāb kī bāteñ
us ne tohmat lagā.ī hai mujh par
dekho ḳhāna-ḳharāb kī bāteñ
roz tasḳhīr-e-kā.enāt karūñ
ye haiñ mere nisāb kī bāteñ
git KHushbu shabab ki baaten
ye to sari hain KHwab ki baaten
ishq mashuq hijr aur furqat
ye hain sab iztirab ki baaten
zindagi mere sath guzregi
tark kar do hisab ki baaten
jab se maqtal mein sang toDa hai
ho rahi hain gulab ki baaten
us ne tohmat lagai hai mujh par
dekho KHana-KHarab ki baaten
roz tasKHir-e-kaenat karun
ye hain mere nisab ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.