gila kaisa koi pardes mein apna nahin hota
gila kaisā koī pardes meñ apnā nahīñ hotā
kisī sahrā meñ sar par peḌoñ kā saayā nahīñ hotā
hai apnī ziist kī miTTī kī kuchh tāsīr hī aisī
ki is ke baaġh kā koī bhī phal mīThā nahīñ hotā
barī ho jaatī hai ik bhiiḌ apne sab gunāhoñ se
isī ik baat se ki bhiiḌ kā chehra nahīñ hotā
tumhārī bazm meñ kyā kaam hai ham jaise logoñ kā
jahāñ patthar hī patthar hoñ vahāñ shīsha nahīñ hotā
ḳhasāre ishq ke batlāo par ye bhī to batlāo
vo hai kyā kaam ki jis meñ koī ḳhatra nahīñ hotā
hamāre paañv kī beḌī hamārī soch hotī hai
koī patthar hamārī raah kā roḌā nahīñ hotā
koī kuchh bhī kahe lekin ye bhī apnī jagah sach hai
kisī par shak koī yūñhī kabhī paidā nahīñ hotā
mukammal chāñd par jaane kā sapnā ho gayā kab kā
mohabbat kā hī sapnā jaane kyoñ puurā nahīñ hotā
parinde pūchhte phirte pata kyūñkar ke pinjroñ kā
agar kuchh āsmānoñ meñ inheñ ḳhatra nahīñ hotā
nikaltī hai sadā kaḌvī se kaḌvī baat hī jin se
unhīñ lab kā diyā bosa kabhī kaḌvā nahīñ hotā
hamāre dil ke junction par mohabbat naam hai jis kā
kabhī ġhalatī se bhī us train kā ruknā nahīñ hotā
muāfī maañg kar hairat meñ Daalo mat hameñ 'balvant'
yahāñ apne kiye par koī sharminda nahīñ hotā
isī ḳhātir maiñ dushman kī kabhī gintī nahīñ kartā
mujhe ma.alūm hai ke bhiiḌ kā chehra nahīñ hotā
miyāñ farhād-o-majnūñ se to āshiq aaj kā achchhā
kam-az-kam ishq meñ ab jaan kā ḳhatra nahīñ hotā
gila kaisa koi pardes mein apna nahin hota
kisi sahra mein sar par peDon ka saya nahin hota
hai apni zist ki miTTi ki kuchh tasir hi aisi
ki is ke bagh ka koi bhi phal miTha nahin hota
bari ho jati hai ek bhiD apne sab gunahon se
isi ek baat se ki bhiD ka chehra nahin hota
tumhaari bazm mein kya kaam hai hum jaise logon ka
jahan patthar hi patthar hon wahan shisha nahin hota
KHasare ishq ke batlao par ye bhi to batlao
wo hai kya kaam ki jis mein koi KHatra nahin hota
hamare panw ki beDi hamari soch hoti hai
koi patthar hamari rah ka roDa nahin hota
koi kuchh bhi kahe lekin ye bhi apni jagah sach hai
kisi par shak koi yunhi kabhi paida nahin hota
mukammal chand par jaane ka sapna ho gaya kab ka
mohabbat ka hi sapna jaane kyon pura nahin hota
parinde puchhte phirte pata kyunkar ke pinjron ka
agar kuchh aasmanon mein inhen KHatra nahin hota
nikalti hai sada kaDwi se kaDwi baat hi jin se
unhin lab ka diya bosa kabhi kaDwa nahin hota
hamare dil ke junction par mohabbat nam hai jis ka
kabhi ghalati se bhi us train ka rukna nahin hota
muafi mang kar hairat mein Dalo mat hamein 'balwant'
yahan apne kiye par koi sharminda nahin hota
isi KHatir main dushman ki kabhi ginti nahin karta
mujhe malum hai ke bhiD ka chehra nahin hota
miyan farhad-o-majnun se to aashiq aaj ka achchha
kam-az-kam ishq mein ab jaan ka KHatra nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.