gila to un ko bhi hai main jinhen mila hi nahin
gila to un ko bhi hai main jinhen mila hi nahin
Vinod Kumar Tripathi Bashar
MORE BYVinod Kumar Tripathi Bashar
gila to un ko bhī hai maiñ jinheñ milā hī nahīñ
na jaane kitne fasānoñ meñ huuñ patā hī nahīñ
koī to pūchhe zarā haal un añdheroñ se
ki jin ke pahlū meñ sūraj kabhī ugā hī nahīñ
use hai aaj bhī ranj-o-malāl ye mujh se
ki dil pe us kī kisī baat ko liyā hī nahīñ
lo khel khel meñ banñe ko ban ga.ī kashtī
magar mizāj samundar kā kuchh patā hī nahīñ
vo shor kis kā thā shab bhar ki niiñd TuuT ga.ī
mire sivā to koī aur ghar meñ thā hī nahīñ
huā yuuñ karte haiñ tūfāñ se log ḳhauf-zada
ki jaise us ke thapeḌoñ meñ kuchh mazā hī nahīñ
ye nūr-e-sub.h hai āġhāz sirf ik din kā
vo din jo shaam guzarte kabhī rahā hī nahīñ
abhī se kar na muqarrar tū merā vaqt-e-hisāb
ki zindagī tujhe maiñ ne abhī jiyā hī nahīñ
ḳhalish jahāñ kī numāyāñ haiñ merī ġhazloñ meñ
vo dard bhī hai mirā jo mujhe milā hī nahīñ
gila to un ko bhi hai main jinhen mila hi nahin
na jaane kitne fasanon mein hun pata hi nahin
koi to puchhe zara haal un andheron se
ki jin ke pahlu mein suraj kabhi uga hi nahin
use hai aaj bhi ranj-o-malal ye mujh se
ki dil pe us ki kisi baat ko liya hi nahin
lo khel khel mein banne ko ban gai kashti
magar mizaj samundar ka kuchh pata hi nahin
wo shor kis ka tha shab bhar ki nind TuT gai
mere siwa to koi aur ghar mein tha hi nahin
hua yun karte hain tufan se log KHauf-zada
ki jaise us ke thapeDon mein kuchh maza hi nahin
ye nur-e-subh hai aaghaz sirf ek din ka
wo din jo sham guzarte kabhi raha hi nahin
abhi se kar na muqarrar tu mera waqt-e-hisab
ki zindagi tujhe main ne abhi jiya hi nahin
KHalish jahan ki numayan hain meri ghazlon mein
wo dard bhi hai mera jo mujhe mila hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.