ghilaf-e-barf ko pairon tale masalta hua
ġhilāf-e-barf ko pairoñ tale masaltā huā
maiñ aag DhūñDne niklā thā haath maltā huā
havā chalī to dikhā.ī diyā thā chāñd mujhe
shajar kī Dāliyoñ meñ karvaTeñ badaltā huā
chamak uThī thī vahīñ par nigah musāfir kī
jahāñ dikhā.ī diyā thā charāġh jaltā huā
kisī ne mujh ko pukārā thā duur vaadī meñ
aur ik pahāḌ se utrā thā maiñ sañbhaltā huā
pahuñch gayā thā maiñ 'rāshid' khule samundar tak
kisī ḳhayāl meñ dariyā ke saath chaltā huā
ghilaf-e-barf ko pairon tale masalta hua
main aag DhunDne nikla tha hath malta hua
hawa chali to dikhai diya tha chand mujhe
shajar ki Daliyon mein karwaTen badalta hua
chamak uThi thi wahin par nigah musafir ki
jahan dikhai diya tha charagh jalta hua
kisi ne mujh ko pukara tha dur wadi mein
aur ek pahaD se utra tha main sanbhalta hua
pahunch gaya tha main 'rashid' khule samundar tak
kisi KHayal mein dariya ke sath chalta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.