gile hain shikwe hain phir bhi KHafa nahin hue hain
gile haiñ shikve haiñ phir bhī ḳhafā nahīñ hue haiñ
ki ham alag to hue haiñ judā nahīñ hue haiñ
koī visāl koī guftugū na rabt koī
magar sukūñ hai ki nā-āshnā nahīñ hue haiñ
ba-īñ tajāhul-e-paiham ba-sad taġhāful-e-arz
mujhe yaqīñ hai ki vo bevafā nahīñ hue haiñ
ghanerī zulfoñ ke ḳham hoñ ki marmarīñ bāheñ
ham us kī qaid se ab tak rihā nahīñ hue haiñ
ham apnī ḳhaak se phir khil uTheñge gul ban kar
abhī figār hue haiñ fanā nahīñ hue haiñ
gile hain shikwe hain phir bhi KHafa nahin hue hain
ki hum alag to hue hain juda nahin hue hain
koi visal koi guftugu na rabt koi
magar sukun hai ki na-ashna nahin hue hain
ba-in tajahul-e-paiham ba-sad taghaful-e-arz
mujhe yaqin hai ki wo bewafa nahin hue hain
ghaneri zulfon ke KHam hon ki marmarin bahen
hum us ki qaid se ab tak riha nahin hue hain
hum apni KHak se phir khil uThenge gul ban kar
abhi figar hue hain fana nahin hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.