gir jaegi aaKHir ko ye diwar kisi din
gir jā.egī āḳhir ko ye dīvār kisī din
ban jā.egā inkār hī iqrār kisī din
is aas pe guzre haiñ ka.ī saal mahīne
aa.egā palaT kar vahī itvār kisī din
māñgeñge murādeñ sabhī ushshāq yahāñ par
ban jā.egā marqad mirā darbār kisī din
sunte haiñ shifā miltī hai dīdār se tere
aa baiTheñge dar par tire bīmār kisī din
lagtā hai ye ḳhush-fahmī haqīqat bhī banegī
pā.eñge sazā chauk meñ ġhaddār kisī din
mazlūm ke hāthoñ meñ galā hogā tumhārā
lagnā hai tamāshā sar-e-bāzār kisī din
gir jaegi aaKHir ko ye diwar kisi din
ban jaega inkar hi iqrar kisi din
is aas pe guzre hain kai sal mahine
aaega palaT kar wahi itwar kisi din
mangenge muraden sabhi ushshaq yahan par
ban jaega marqad mera darbar kisi din
sunte hain shifa milti hai didar se tere
aa baiThenge dar par tere bimar kisi din
lagta hai ye KHush-fahmi haqiqat bhi banegi
paenge saza chauk mein ghaddar kisi din
mazlum ke hathon mein gala hoga tumhaara
lagna hai tamasha sar-e-bazar kisi din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.