gir ke bistar pe ro raha hoga
gir ke bistar pe ro rahā hogā
vo bhī takiya bhigo rahā hogā
hoñT ḳhushiyāñ piro rahe hoñge
dil meñ kuchh dard ho rahā hogā
ye zamīñ mujh pe hañs rahī hogī
āsmāñ ḳhuun ro rahā hogā
kisht-e-ta.abīr kī lagan meñ koī
ḳhvāb-dar-ḳhvāb bo rahā hogā
nazr-e-duniyā nahīñ kiyā hai jo dard
mere siine meñ to rahā hogā
raah kaT jā.egī magar 'tāhir'
ik ta.alluq ki jo rahā hogā
gir ke bistar pe ro raha hoga
wo bhi takiya bhigo raha hoga
honT KHushiyan piro rahe honge
dil mein kuchh dard ho raha hoga
ye zamin mujh pe hans rahi hogi
aasman KHun ro raha hoga
kisht-e-tabir ki lagan mein koi
KHwab-dar-KHwab bo raha hoga
nazr-e-duniya nahin kiya hai jo dard
mere sine mein to raha hoga
rah kaT jaegi magar 'tahir'
ek talluq ki jo raha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.