gir raha hun sanbhal raha hun main
gir rahā huuñ sañbhal rahā huuñ maiñ
par lagātār chal rahā huuñ maiñ
kahīñ koī dhuāñ na chingārī
kis salīqe se jal rahā huuñ maiñ
apne hāthoñ meñ aag uThā.e hue
barf kī sil pe chal rahā huuñ maiñ
jis pe āñdhī kā aanā jaanā hai
usī raste pe jal rahā huuñ maiñ
ḳhud se bhī hārnā nahīñ manzūr
ḳhud se aage nikal rahā huuñ maiñ
aur koī nahīñ hai koī nahīñ
apnā ne'mul-badal rahā huuñ maiñ
kabhī us ne mujhe chhuā thā 'kamāl'
aur ab tak pighal rahā huuñ maiñ
gir raha hun sanbhal raha hun main
par lagatar chal raha hun main
kahin koi dhuan na chingari
kis saliqe se jal raha hun main
apne hathon mein aag uThae hue
barf ki sil pe chal raha hun main
jis pe aandhi ka aana jaana hai
usi raste pe jal raha hun main
KHud se bhi haarna nahin manzur
KHud se aage nikal raha hun main
aur koi nahin hai koi nahin
apna ne'mul-badal raha hun main
kabhi us ne mujhe chhua tha 'kamal'
aur ab tak pighal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.