gir rahi hain aasman se bijliyon par bijliyan
gir rahī haiñ āsmāñ se bijliyoñ par bijliyāñ
sochtā huuñ maiñ tumheñ phir dekhtā huuñ āshiyāñ
be-sahārā panchhiyo tum ko vo manzar yaad hai
kaT rahe the jab shajar tum dekhte the āriyāñ
sirf itnī aarzū vo bhī adhūrī rah ga.ī
haath meñ vo haath ho aur uñgliyoñ meñ uñgliyāñ
ḳhvāb meñ chūmā thā tum ne aur tab se aaj tak
gher letī haiñ mujhe har gulsitāñ kī titliyāñ
ḳhair tum milne na aa.e saarī duniyā aa ga.ī
'umr-bhar chhā.ī rahī palkoñ meñ merī badliyāñ
āḳhir itnā to batā do jāntī ho tum mujhe
dekh kar murjhā rahīñ kyoñ gulshanoñ kī kyāriyāñ
gir rahi hain aasman se bijliyon par bijliyan
sochta hun main tumhein phir dekhta hun aashiyan
be-sahaara panchhiyo tum ko wo manzar yaad hai
kaT rahe the jab shajar tum dekhte the aariyan
sirf itni aarzu wo bhi adhuri rah gai
hath mein wo hath ho aur ungliyon mein ungliyan
KHwab mein chuma tha tum ne aur tab se aaj tak
gher leti hain mujhe har gulsitan ki titliyan
KHair tum milne na aae sari duniya aa gai
'umr-bhar chhai rahi palkon mein meri badliyan
aaKHir itna to bata do jaanti ho tum mujhe
dekh kar murjha rahin kyon gulshanon ki kyariyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.