gira ke bughz-o-hasad dushmani ka darwaza
girā ke buġhz-o-hasad dushmanī kā darvāza
tū apne dil meñ lagā dostī kā darvāza
husain ibn-e-alī mujh ko yaad aate haiñ
maiñ jab bhī dekhtā huuñ tishnagī kā darvāza
ye soch kar maiñ musībat pe shukr kartā huuñ
milegā ek na ik din ḳhushī kā darvāza
jidhar bhī dekhūñ udhar hī hai maġhribī tahzīb
na jaane gum hai kahāñ sādgī kā darvāza
ḳhudā-e-pāk unheñ sarfarāz kartā hai
talāsh karte haiñ jo ājizī kā darvāza
qadam qadam pe musībat uThā ke khultā hai
baḌā hī saḳht hai ye zindagī kā darvāza
ḳhudā ke fazl se maiñ kohna-mashq shā.ir huuñ
na maiñ ne dekhā kabhī ḳhāmushī kā darvāza
qasam ḳhudā kī mujhe tum dikhā.ī dete ho
maiñ jab bhī kholtā huuñ shā.erī kā darvāza
añdhere hote haiñ us kī hī zindagānī meñ
jo DhūñD saktā nahīñ raushnī kā darvāza
kisī ke ishq meñ barbād ho gayā 'afzal'
magar na toḌ sakā āshiqī kā darvāza
gira ke bughz-o-hasad dushmani ka darwaza
tu apne dil mein laga dosti ka darwaza
husain ibn-e-ali mujh ko yaad aate hain
main jab bhi dekhta hun tishnagi ka darwaza
ye soch kar main musibat pe shukr karta hun
milega ek na ek din KHushi ka darwaza
jidhar bhi dekhun udhar hi hai maghribi tahzib
na jaane gum hai kahan sadgi ka darwaza
KHuda-e-pak unhen sarfaraaz karta hai
talash karte hain jo aajizi ka darwaza
qadam qadam pe musibat uTha ke khulta hai
baDa hi saKHt hai ye zindagi ka darwaza
KHuda ke fazl se main kohna-mashq shair hun
na main ne dekha kabhi KHamushi ka darwaza
qasam KHuda ki mujhe tum dikhai dete ho
main jab bhi kholta hun shaeri ka darwaza
andhere hote hain us ki hi zindagani mein
jo DhunD sakta nahin raushni ka darwaza
kisi ke ishq mein barbaad ho gaya 'afzal'
magar na toD saka aashiqi ka darwaza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.