gira ke sahn ki diwar rasta kar den
girā ke sahn kī dīvār rāsta kar deñ
uTho ki ḳhatm ye ranjish kā silsila kar deñ
guzar chukī hai jo āñdhī use na yaad rakheñ
diloñ ko saaf kareñ aur aa.ina kar deñ
badal deñ saarī haqīqat ko ik fasāne meñ
aur apnī bhuul se mansūb vāqi.a kar deñ
na.e charāġhoñ pe rakkheñ nazar purāne diye
ye phir se aag lagā kar na hādisa kar deñ
ta'alluqāt ko 'jāved' lag na jaa.e nazar
ki milne-julne meñ thoḌā sā fāsla kar deñ
gira ke sahn ki diwar rasta kar den
uTho ki KHatm ye ranjish ka silsila kar den
guzar chuki hai jo aandhi use na yaad rakhen
dilon ko saf karen aur aaina kar den
badal den sari haqiqat ko ek fasane mein
aur apni bhul se mansub waqia kar den
nae charaghon pe rakkhen nazar purane diye
ye phir se aag laga kar na hadisa kar den
ta'alluqat ko 'jawed' lag na jae nazar
ki milne-julne mein thoDa sa fasla kar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.